Conversation of a foolish lover!

The conversation was going in the midnight in between packing.. Zubin & Rashmi are the main characters..

Praveen: arre yaar, Rashmi, I miss her a lot. and the worse thing is that now I cannot even meet her.
Rashmi : dekh, there is nothing known as true love., its all compromise.. you just adjust..
Praveen: nahi yaar.. (protesting)
Zubin : Dekh, uska doosare kisi ke saath chakkar hai kya..??
Praveen: Mujhe nahin lagta.. lekin mujhe maloom bhi nahi hai
Rashmi : Lekin you never tell the details in full..
Praveen: I’m still a fool in these things..I dont know how to express this clearly
Zubin : acha.. mein experience se bolta hoom, sun, tu uske peeche pad.. koi ladki, jaldi haan nahi bolti hai… Mein bhi Rashmi ke peeche bahut pappad pele hain
Praveen: Lekin kaise yaar.. I know that I love her a lot and thats it.. time has flown by and still I like her. and I am sure she knows that too..lekin..
Zubin : Tu uska pata dhoond nikal aur usko flowers aur gift bhej, internet se tu yeh kar sakta hai..
Praveen: Galti kiya yaar.. Uska birthday abhi gaya.. Mein bhulakkad hi rahoonga, sudharoonga nahin. Mein gift bhej sakta tha.
Rashmi : tu uske saath vapas communcation chaloo kar. aur abhi valentine day aa raha hai.. tabhi usko gift kuch bhej..
Praveen: haan yaar.. kuch karna padega.. nahin to devdaas banna padega..(smiling sheepishly)
Zubin : Aur jyaada iske baare mein soch mat. dimag ka dahi ban jayega.. Experience se bolta hoon
Praveen: hmmm..(agreeing.. still smiling sheepishly)

Leave a Reply